Showing posts with label Yaad Shayari. Show all posts
Showing posts with label Yaad Shayari. Show all posts

Saturday, March 16, 2013

Sab ko hasna aur hasana yahi kosish hai mayri



Sab ko hasna aur hasana yahi kosish hai mayri  
Sabhi is duniya me khush rahe ye chahat hai mayri
Bhale hi tum sab mujh nacheez ko yaad karo ya na karo  
Hr kisi ko yaad karna yahi aadat hai mayri  
 

Yaadon Ke Sahare Duniya Nahi Chalti



Yaadon Ke Sahare Duniya Nahi Chalti,
Bina Kisi Shayar Ke Mehfil Nahi Banti,
Ek Baar Pukaaro To Aye Doston,
Kyon Ki Doston Ke Bina Ye Dhadkne Nahi Chalti..!

Tuesday, April 12, 2011

Yaad Phir Mujhko Wo Aane Lagi


Yaad Phir Mujhko Wo Aane Lagi, 
Jiski Har Baat Mehez Khushbu Hai, 

Aap Se Tum, Tumse Phir Tu Kehna, 
Baat Hi Baat Mein Dilki Aarzu Kehna, 

Mere Ehsaas Pe Chha Gaye Hai Yun,
Mujhko Deewana Bana Gaya Hai Yun,

Har Taraf Shagun ka Aqs Hai Ab To, 
Jaise Mujh Mein Sama Gayi Hai Wo, 

Uski Sargoshiyan Hai Charon Taraf, 
Aur Kuch Sunne Ko Hai Na Kehne Ko...

Yaadon Ko Apne Dil Se Mita Kyon Nahin Dete



Yaadon Ko Apne Dil Se Mita Kyon Nahin Dete, 
Jo Jaa Chuka Hai Us Ko Bhula Kyon Nahin Dete. 

Mujrim Hoon Main Tera Mujhe Itna To Bata, 
Khamosh Khade Ho Kyon Saza Kyon Nahin Dete. 

Use Jis Ke Zakham Hain Inaayat Teri, 
Gar Hai Tumhare Paas To Dawa Kyon Nahin Dete. 

Kayee Ghar Nahin Baste Hain Jin Ki Vajah Se, 
Un Adhjali Rasmon Ko Jala Kyon Nahin Dete. 

Us Ne Tumhari Khaatir Kya Kya Nahin Kiya, 
Tum Us Ki Wafaaon Ka Sila Kyon Nahin Dete. 

Tumhein Mujh Se Mohabbat Hai Jaanta Hoon Main, 
Ye Baat Apne Lab Se Bata Kyon Nahin Dete. 

Anmol Khazana Hain Muskurahatein Teri, 
Thoda Sa Ise Mujh Pe Luta Kyon Nahin Dete. 

Wo Aag Jo Dil Mein Lagaai Thi Kabhi Tum Ne, 
Wo Aag Aaj Khud Hee Bujha Kyon Nahin Dete. 

Ek Arsa Hua Chain Se Soye Huye Hum kO 
Mera Chain, Meri Neend Lauta Kyon Nahin Dete

Hoon ajeeb kashmakash may


Hoon ajeeb kashmakash may
hui Zindagi parai,
Meray pas teri yadain,
teray pas Bewafai,

Meray dil ko tu nay cheena,
Meri preeth jag nay luti,
Mera dil b hai paraya,
Meri preeth b parai,



Tujhay khwab he may dekho,
Ye Bharam b aj toota,
Teray khwab kesay dekho,
Mujhay need he na ai.