Tuesday, December 28, 2010

Teri ek hasi pe ye dil qurbaan kar jaoo

Teri ek hasi pe ye dil qurbaan kar jaoo,
Aitraaz na ho agar to tera dil chura le jaoo,
Na behne du kabhi in aakho se aansu,
Tu kahe to tere saare sitam sah jaoo.

Hasta hua rakhu tere labo ko hamesha,
Chumkar jinhe woh pyaari muskaan de jaoo,
Seene se laga ke rakhu tumhe,
mann to karta hai tujhme sama jau.

Sunta hi rahu tumari dhadkano ko,
aur "vishu" dil ki har baat kah jau,
gum ko kabhi kareeb na aane du,
aur tumhe zindage ki khushiya tamaam de jaoo




***** Join Yuva Munch *****

Tuesday, December 7, 2010

Bitha Ke Saamne Jee Bhar Ke Deedar Karna



Bitha Ke Saamne Jee Bhar Ke Deedar Karna
Ek Roz Baahon Mein Bhar Ke Pyar Karna
Meri Majboori Samajhana Shikwa Na Koi Karna
Main Tera Hi Rahunga Mera Aitbar Karna

Kyon door ho kar bhi

Mai ne kaha Mera Naam hi Aitbaar hai

zindagi zaroori si ho gayi

Monday, November 8, 2010

Aur Kuchh Nahi Main Chahta


Aur Kuchh Nahi Main Chahta, Mujhe Bas Chahat Hai Teri,
Tu Hi Ho Saath Mere Bas Ye Koshish Hai Meri,
Tum Aaye Par Der Se Aaye Ye Shikayat Hai Meri,
Par Shikva Nahi Hai Tumse, Bas Ibaadat Hai Meri,
Aur Kuchh Nahi Main Chahta, Mujhe Bas Chahat Hai Teri,
Sada Tere Hothon Ki Muskaan Bas Ek Khwaish Hai Meri
*****do pal "Vishu Arora" ke sath *****

Tuesday, November 2, 2010

tasveer le aaya me

Unse Se Mil Aaya Main
Khushiyon Ko Jii Aaya Main

Unke Yaadon Ko Sanjorh Laaya Main
Sapne Kitne Saja Laaya Main


Unke Aankhon Me Chehra Apna Dekh Aaya Main
Unke Dil Se Apna Naam Phir Sun Aaya Main

Unhe Dekhte Hi Jo Khushi Ke Aansoon Nikle
Un Sab Ashkon Ki Dava Le Aaya Main

Unke Chehre Se Nazar Hatte To Aakhir Kaise
Apni Saanson Me Unki Tasveer Le Aaya Main

Sunday, October 24, 2010

Us ko mera halka sa ehsaas to hai



Us ko mera halka sa ehsaas to hai

be-dard sahi woh meri humraaz to hai,

woh aaye na aaye mere paas lekin,

shiddat se mujhe uska intezar to hai,

abhi nahi to kya hua mil hi jaayegi kabhi,

mere dil mein usse milan ki aas to hai,

pyaar ki gawahi mere aansuon se na maang

barasti nahi aankhien magar dil udaas to hai……
*****do pal "Vishu Arora" ke sath*****

Sunday, October 10, 2010

Nighahe nighago se milakar to dekho





Nighahe nighago se milakar to dekho,
naye logo se rishta banakar to dekho,
hasrate dil me dabane se kya faida,
apne hoton ko hilakar to dekho,
asmaan simat jayega tumhare agosh me,
chahat ki bahen failakar to dekho



*****Do pal "Vishu Arora" ke sath*****



Saturday, October 9, 2010

mix shayari



In Aankho Me Aansu Aaye Na Hote
Woh Jo Mud Kar Muskuraye Na Hote
Unke Jane Ke Baad Ye Gam Hota Hai
Kash Woh Jindgi Me Aaye Na Hote
~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*
Zakham Dene Ka Andaz Kuch Aisa Hai
Zakham Dekar Kahte Hain Ab Hal Kaisa Hai
Zehar Dekar Kahte Hai Ab Pina Hi Hoga
Aur Jab Pi Liya To Kahte Hain Jina Hi Hoga

Yehi Hai Dosto Pyar Ki Kahani
Haste Haste Phir Rona Hi Hoga
~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*
Humne Jo Sath Gujare Vo Lamhe Yaad Aate Hain,
Jane Kaha Chal Diye Vo, Sare Dost Yaad Aate Hain,
Kaun Si Nagari Me Base Hain Vo, Pata Bhi Nahi,
Par Masti Se Sath Bitaye Huye Din Yaad Aate Hain…
~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*
1 Khamoshi Beqarar Kr Jati Hy,
1 Khamoshi Iqrar Ban Jati Hy,
Pyar Kro To Kbhi Khamosh Mat Rehna,
Q K Kbhi Sirf 1 Khamoshi Zindgi Bhar Ka Intezar Ban Jati hai
~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*
Pyar kehte hain,
Mohobbat kehte hain,
Kuch log isse bandagi kehte hain,
Magar jiss pe hum marte hain usse hum zindagi kehte hain
~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*
Dekha nahi tanhai main tumne kabhi usko
bichray huay logon ko woh roya bhi buhat hai
kuch tujhko mohabbat pe yaqin tha na wafa pe
Kuch dukh meri taqdeer main likha bhi buhat hai
~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

Wednesday, October 6, 2010

Teray Siwa Kisi ka Talabgaar hum nahi

 


Teray Siwa Kisi ka Talabgaar hum nahi
Phir bhi teri nazar main wafadar hum nahi
Aakhir tu kis khata par hay hum se Naraz
Yeh Dil ka Qusoor hay aur Gunhagar hum nahi
*****do pal "Vishu Arora " ke sath *****

Friday, September 17, 2010

Us Ka Naam Likh Likh Kar Mitana Bhool Jata Hoon

>


Us Ka Naam Likh Likh Kar Mitana Bhool Jata Hoon

Us Ko Jab Yaad Karta Hoon Bhulana Bhool Jata Hoon

Bohut C Aisi Baatain Hain Jo Mere Dil Mein Rehti Hain

Magar Jab Us Se Milta Hoon Sunana Bhool Jata Hoon

Us Ke Bad Ab Her Pal Bari Mushkil Se Katta Hai

Mein Aksar Us Ko Khawabon Mein Batana Bhool Jata Hoon

Mein Her Sham Kehta Hoon Ke Us Ko Bhool Jaon Ga

Magar Jab Subha Hoti Hai Tu Bholana Bhool Jata Hoon

Thursday, September 16, 2010

umein izhar karna na aaya


humein izhar karna na aaya,
unhein pyaar karna na aaya.
hum bus dekhte hi reh gaye,
aur waqt ko thamana na aaya.
woh chalte chalte itne door chale gaye,
hamein rokna bhi na aaya.
hamne unka naam liya phir bhi,
shayad unhein sunna na aaya.
hamare taqdeer mein unki mohabbat
thi hi nahi
unke dil mein hamari chahat
thi hi nahi.
unki muskurahat ko hum,
pyaar samajh bethe
aur hamare pyaar ki koi keemat thi
hi nahi.
ab ashko ke har katre mein,
bus unka hi naam hota hain.
din raat apni mohabbat ko
yaad karna.
deewano ko aur ka kya kaam,
hota hain.

Monday, September 6, 2010

Hasi Phoolon ko aati hai



Hasi Phoolon ko aati hai,
Jab aap muskuratey ho…!!
Humari duniya badal jati hai,
Jab aap muskuratey ho…!!
Aapki muskurahat ke aage bhalaa,
kya chand ki rounak…..!!
Huzur khud chand bhi sharmaataa hai,
Jab aap muskuratey ho…

~~~~~Vishu Arora~~~~~