Friday, September 17, 2010

Us Ka Naam Likh Likh Kar Mitana Bhool Jata Hoon

>


Us Ka Naam Likh Likh Kar Mitana Bhool Jata Hoon

Us Ko Jab Yaad Karta Hoon Bhulana Bhool Jata Hoon

Bohut C Aisi Baatain Hain Jo Mere Dil Mein Rehti Hain

Magar Jab Us Se Milta Hoon Sunana Bhool Jata Hoon

Us Ke Bad Ab Her Pal Bari Mushkil Se Katta Hai

Mein Aksar Us Ko Khawabon Mein Batana Bhool Jata Hoon

Mein Her Sham Kehta Hoon Ke Us Ko Bhool Jaon Ga

Magar Jab Subha Hoti Hai Tu Bholana Bhool Jata Hoon

Thursday, September 16, 2010

umein izhar karna na aaya


humein izhar karna na aaya,
unhein pyaar karna na aaya.
hum bus dekhte hi reh gaye,
aur waqt ko thamana na aaya.
woh chalte chalte itne door chale gaye,
hamein rokna bhi na aaya.
hamne unka naam liya phir bhi,
shayad unhein sunna na aaya.
hamare taqdeer mein unki mohabbat
thi hi nahi
unke dil mein hamari chahat
thi hi nahi.
unki muskurahat ko hum,
pyaar samajh bethe
aur hamare pyaar ki koi keemat thi
hi nahi.
ab ashko ke har katre mein,
bus unka hi naam hota hain.
din raat apni mohabbat ko
yaad karna.
deewano ko aur ka kya kaam,
hota hain.

Monday, September 6, 2010

Hasi Phoolon ko aati hai



Hasi Phoolon ko aati hai,
Jab aap muskuratey ho…!!
Humari duniya badal jati hai,
Jab aap muskuratey ho…!!
Aapki muskurahat ke aage bhalaa,
kya chand ki rounak…..!!
Huzur khud chand bhi sharmaataa hai,
Jab aap muskuratey ho…

~~~~~Vishu Arora~~~~~

Sunday, September 5, 2010

Har khushi Hai Logon Ke Daman Mein




Har khushi Hai Logon Ke Daman Mein,
Par Ek Hansi Ke Liye Waqt Nahin.
Din Raat Daudti Duniya Mein,
Zindagi Ke Liye Hi Waqt Nahin.

Maan Ki Loree Ka Ehsaas Toh Hai,
Par Maan Ko Maan Kehne Ka Waqt Nahin.
Saare Rishton Ko To Hum Maar Chuke,
Ab Unhen Dafnane Ka Bhi Waqt Nahin.

Saare Naam Mobile Mein Hain,
Par Dosti Ke Lye Waqt Nahin.
Gairon Ki Kya Baat Karen,
Jab Apno Ke Liye Hi Waqt Nahin.

Aankhon Mein Hai Neend Badee,
Par Sone Ka hi Waqt Nahin.
Dil Hai Ghamon Se Bhara Hua,
Par Rone Ka Bhi Waqt Nahin.

Paison ki Daud Mein Aise Daud padey hain,
Ki Thakne ka Bhi Waqt Nahin.
Paraye Ehsason Ki Kya Kadr Karein,
Jab Apne Sapnon Ke Liye Hi Waqt Nahin.

Tu Hi Bata Aey Zindagi,
Iss Zindagi Ka Kya Hoga,
Ki Har Pal Marne Walon Ko,
Jeene Ke Liye Bhi Waqt Nahin……



Thursday, September 2, 2010

Ahista ahista aapka yakeen karne lage hain


Ahista ahista…

Ahista ahista aapka yakeen karne lage hain….
Ahista ahista aapke kareeb aane lage hain…
Dil tho dene se ghabraathe hain…
Magar ahista ahista aapke dil ki kadar karne lage hain….

Aapse kaha nahi kuch humne…
Magar ahista ahista aapke lafzon per aetebaar karne lage hain…
Aapka dil dharaktha hai tho…
Ahista ahista humme wo dharkane sunaaye dene lagthi hain…
Aapki aankhon mein jo mohabbat hai…
Ahista ahista wo humme nazar aane lagi hai…

Aapse milkar yaad aane lagi wo beethi hui baatein…
Magar ab ahista ahista bhulaane lage hain hum wo dard ka ehsas….
Najaane kyun badal ne lagi hai yeh soch hamaari…
Magar ahista ahista saare shikwe gile mitne lage hain…