Sunday, September 5, 2010

Har khushi Hai Logon Ke Daman Mein




Har khushi Hai Logon Ke Daman Mein,
Par Ek Hansi Ke Liye Waqt Nahin.
Din Raat Daudti Duniya Mein,
Zindagi Ke Liye Hi Waqt Nahin.

Maan Ki Loree Ka Ehsaas Toh Hai,
Par Maan Ko Maan Kehne Ka Waqt Nahin.
Saare Rishton Ko To Hum Maar Chuke,
Ab Unhen Dafnane Ka Bhi Waqt Nahin.

Saare Naam Mobile Mein Hain,
Par Dosti Ke Lye Waqt Nahin.
Gairon Ki Kya Baat Karen,
Jab Apno Ke Liye Hi Waqt Nahin.

Aankhon Mein Hai Neend Badee,
Par Sone Ka hi Waqt Nahin.
Dil Hai Ghamon Se Bhara Hua,
Par Rone Ka Bhi Waqt Nahin.

Paison ki Daud Mein Aise Daud padey hain,
Ki Thakne ka Bhi Waqt Nahin.
Paraye Ehsason Ki Kya Kadr Karein,
Jab Apne Sapnon Ke Liye Hi Waqt Nahin.

Tu Hi Bata Aey Zindagi,
Iss Zindagi Ka Kya Hoga,
Ki Har Pal Marne Walon Ko,
Jeene Ke Liye Bhi Waqt Nahin……



2 comments:

  1. आप काफ़ी सुन्दर लिखते हैं सच मे आप के लिखने का अंदाज ही अलग से हैं

    आप का इक इक शब्द दिल के तारो को झींझोर देता हैं
    प्रेसीडेंट मेडिकल कमेटी ,
    राहुल डूबे

    ReplyDelete
  2. sach me dost scrap or poem dono hi pasand aay hame
    her khusi ho logo ke daman me very nice

    ReplyDelete