Thursday, September 16, 2010

umein izhar karna na aaya


humein izhar karna na aaya,
unhein pyaar karna na aaya.
hum bus dekhte hi reh gaye,
aur waqt ko thamana na aaya.
woh chalte chalte itne door chale gaye,
hamein rokna bhi na aaya.
hamne unka naam liya phir bhi,
shayad unhein sunna na aaya.
hamare taqdeer mein unki mohabbat
thi hi nahi
unke dil mein hamari chahat
thi hi nahi.
unki muskurahat ko hum,
pyaar samajh bethe
aur hamare pyaar ki koi keemat thi
hi nahi.
ab ashko ke har katre mein,
bus unka hi naam hota hain.
din raat apni mohabbat ko
yaad karna.
deewano ko aur ka kya kaam,
hota hain.

2 comments:

  1. sach me kya likte ho tum , tumara her ik sabed dil ko cho jata h or dil karta h ki bar bar padhte rahe

    ReplyDelete
  2. aap ki new rachna padi kafi aachi h
    humein izhar karna na aaya,
    unhein pyaar karna na aaya.
    hum bus dekhte hi reh gaye,
    aur waqt ko thamana na aaya.
    sach me aap ki her line me ik naya pan milta h

    ReplyDelete