Friday, January 22, 2016

apna sab kuch



Wohi meri subh ,meri sham hoti thi
 Garmiyon ki dhop me,wo mera saibhan hoti thi
Mere lie wo sehti thi tahne dosaron k
 Mere lie wo har waqt odas hoti thi
Satata tha me use jii bhar k
 Lakin uss k labon par phir bhi dua hoti thi
Chala jata tha me jab bhi kahen door
 Nazar hamaisha us ki darwaze par hoti thi
Karta nahin tha talash kahen bhi me
 Uss k qadmoo me hi meri janat hoti thi
Chor jate the jab bhi log bachpan me
 Uss k hathon me hi meri ongali hoti thi
Rat jagon k azab jo mujh par otarte the
 Uss ki mohabbat hi meri lori hoti thi
Qurban karti thi wo mujh par apna sab kuch
 Meri khoshi me hi uss ki khoshi hoti thi
“SHAGUN” yad ati hai mujh ko wohi maa bar bar

 Meri shohrat jiss ki dauon se hoti thi

No comments:

Post a Comment